Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi,
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..
Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka,
Rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi...
Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu,
Masruf main bhi kam tha faraagat use bhi thi...
Sunata tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan,
Taaza rafaaqaton ki zarurat use bhi thi...
Mujh se bichar ke shahar me ghul mil gayaa wo shakhs,
Haalanke shahar bhar se raqabat use bhi thi...
Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi...
------------------------------------
No comments:
Post a Comment