Thursday, 29 August 2013

Ibtida-E-Ishq Hai Rota Hai Kya




Ibtida-E-Ishq Hai Rota Hai Kya
Age Age Dekhiye Hota Hai Kya
Qafile Main Subah K Ik Shor Hai
Yani Gafil Ham Chale Sota Hai Kya
Sabz Hoti Hi Nahin Ye Sarzamin
Tukhm-E-Khwahish Dil Main Tu Bota Hai Kya
Ye Nishan-E-Ishq Hain Jate Nahin
Dag Chati K Abas Dhota Hai Kya
Gairat-E-Yusuf Hai Ye Waqt-E-Aziz
‘Mir’ Is Ko Rayegan Khota Hai Kya

Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi

Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi,
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka,
Rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi...

Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu,
Masruf main bhi kam tha faraagat use bhi thi...

Sunata tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan,
Taaza rafaaqaton ki zarurat use bhi thi...

Mujh se bichar ke shahar me ghul mil gayaa wo shakhs,
Haalanke shahar bhar se raqabat use bhi thi...

Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi...
------------------------------------

Saturday, 24 August 2013

Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai


Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
taqat-e-bedaad-e-intezar nahin hai

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nasha ba'andaza-e-khumaar nahin hai

giriya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye! ke rone pe ikhtiyaar nahin hai

hum se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushaq ki gubaar nahin hai

dil se uthaa lutf-e-jalwa haaye ma'ani
gair-e-gul aa'inaa-e-bahaar nahin hai

qatl ka mere kiya hai ahad to bare
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai

tu ne qasam mai'kashi ki khai hai 'Ghalib'
teri qasam ka kuch aitbaar nahin hai

Friday, 23 August 2013

The Cross of Snow by Henry Wadsworth Longfellow


In the long, sleepless watches of the night,
A gentle face--the face of one long dead--
Looks at me from the wall, where round its head
The night-lamp casts a halo of pale light.
Here in this room she died, and soul more white
Never through martyrdom of fire was led
To its repose; nor can in books be read
The legend of a life more benedight.
There is a mountain in the distant West
That, sun-defying, in its deep ravines
Displays a cross of snow upon its side.
Such is the cross I wear upon my breast
These eighteen years, through all the changing scenes
And seasons, changeless since the day she died.


After Great Pain, A Formal Feeling Comes by Emily Dickinson


After great pain a formal feeling comes--
The nerves sit ceremonious like tombs;
The stiff Heart questions--was it He that bore?
And yesterday--or centuries before?

The feet, mechanical, go round
A wooden way
Of ground, or air, or ought,
Regardless grown,
A quartz contentment, like a stone.

This is the hour of lead
Remembered if outlived,
As freezing persons recollect the snow--
First chill, then stupor, then the letting go.


Love's Language by Ella Wheeler Wilcox


How does Love speak?

In the faint flush upon the telltale cheek,
And in the pallor that succeeds it; by
The quivering lid of an averted eye--
The smile that proves the parent to a sigh
Thus doth Love speak.



How does Love speak?
By the uneven heart-throbs, and the freak
Of bounding pulses that stand still and ache,
While new emotions, like strange barges, make
Along vein-channels their disturbing course;
Still as the dawn, and with the dawn's swift force--
Thus doth Love speak.



How does Love speak?
In the avoidance of that which we seek--
The sudden silence and reserve when near--
The eye that glistens with an unshed tear--
The joy that seems the counterpart of fear,
As the alarmèd heart leaps in the breast,
And knows, and names, and greets its godlike guest--
Thus doth Love speak.



How does Love speak?
In the proud spirit suddenly grown meek--
The haughty heart grown humble; in the tender
And unnamed light that floods the world with splendor;
In the resemblance which the fond eyes trace
In all fair things to one belovèd face;
In the shy touch of hands that thrill and tremble;
In looks and lips that can no more dissemble--
Thus doth Love speak.



How does Love speak?
In the wild words that uttered seem so weak
They shrink ashamed in silence; in the fire
Glance strikes with glance, swift flashing high and higher,
Like lightnings that precede the mighty storm;
In the deep, soulful stillness; in the warm,
Impassioned tide that sweeps through throbbing veins,
Between the shores of keen delights and pains;
In the embrace where madness melts in bliss,
And in the convulsive rapture of a kiss--
Thus doth Love speak.


Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum


Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, per sochte hain hum

Tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum

Jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum

Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum

Koi Khilona Ni Hon Main

Karon Na Mere Sath Aisa Tum 
Koi Khilona Ni Hon Main 
Sumjho Tu Tera Apna Hon
 Na Sumjho Tu Phir Bi Begana Ni Hon Main
Ek Shoq-e-Tamanna Thi So Poori Hui Nazim 
Jo Na Ho Tu Sath Abb 
Tou Rehta Ni Hon Apne Sath Main 
Janta Hon Tu Jee Rehi Hai Dukhon Ki Nagri Mein 
Boht Kuch Karna Hai Tere Liye, 
Tere In Halaat se Afsurda Hon Main 
Na Pareshan Ho Tou
 Waqat Ki Is Gehari Dhoop Se
Saye Apne Sath Hain
 Or Tera Sayah Hon Main 
Hai Kuch Waqat Ki Nachaki
 K Door Hon Tujh Se Nazim 
Hai Itni Mohabbat Mere Dil Mein 
K Khuda Se Tera Naseeb Mang Lawon Ga Main  

Thursday, 22 August 2013

Usko fursat hi nahi


Usko fursat hi nahi  waqt nikaly Mohsin 


Aisy hoty hain bhala 
Chahny waly Mohsin


Yaad k dasht me phirta hon 
Main nangy paon 


Dekh to aa k kabi 
Paon k chhaly Mohsin 


Kho gai subho ki umeed  
or ab lgta hai 

Hum nahi hon gay 
K jb hon gy ujaly Mohsin 


Wo jo ik shakhs 
Mtaa-e-dil-o-jan tha 

Na raha 
Ab bhala kon mery 
Dard sambhaly Mohsin


Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..


Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai.. 
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai.. 

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ? 
Mujhay tu khair tera intazar karna hai 

Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh 
Kabhi yeah jashan sar e rah’guzaar karna hai 

woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya 
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai 

Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi 
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai 

terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay 
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai 

Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein 
Kisi tarha tu humain rooz’gaar karna hai 

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon 
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai 

Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin 
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai



Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..


Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti.. 
Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai .. 

Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai .. 
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein.. 

Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi.. 
Nahi aise nahi hoga .. 

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein.. 
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye.. 

To bas itna samaj lena , 
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai.. 

Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai .. 
Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai .. 

Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai .. 
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti.. 

Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti….!!!


Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai



Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai 
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai 


Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal 

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai 


Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh 

Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai 


Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai 

Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai 


Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!! 

Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai 


*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho 

Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…



Haq MEri MOhabbat Ka Ada Kiy0n Nhi KartE'

'Haq MEri MOhabbat Ka Ada Kiy0n Nhi KartE' 


Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE 
Kiy0n BEthE H0 Kham0sh Si Raah ME MErE AaGE, 

Na R0 MErE MarnE Ki Dua Kiy0n Nhi KartE 
Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE. 

Ph00l0n Ki Tarha JiSm Hai Pathar Ki Ti Tarah, 
DiL MErE HasEEn L0G Wafa Kiy0n Nhi KartE. 

Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE 
Aankh00n Ki AdaaLat SE Bari Kar T0 Diya Hai 

Afs0s MEri Jaan REha Kiy0n Nhi KartE. 
Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE 

Haq MEri MOhabbat Ka Ada Kiy0n Nhi KartE, 

Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE.

Wednesday, 21 August 2013

Nafi tum ho nahi skty, Jama say tum ko nafrat hai,


Nafi tum ho nahi skty, Jama say tum ko nafrat hai,

Tumhain taqseem karty hain to Dil py zarb lgti hai....!!!!!!

Monday, 19 August 2013

Jab yaaden meri yaad kr k Roya kro gy Tum,

“GHAZAL”

Jab yaaden meri yaad kr k Roya kro gy Tum,
Na neend aaye gi na soya kro gy Tum,
Us waqt Meri yaad Tumhen boht staye gi,
Jab kisi sy Aankh milaya kro gy Tum,
Tarpy “DIL” aur aah b na nikley zaban sy,
Chup chaap Aansoun ko bahaya kro gy Tum,
Jazbat men aa kr jala dey Meri sari “YAADIEN”
Ab kis tarha G ko behlaya kro gy Tum,
“MOUT” to barhaq hy juda kr k Hi chorey gi,
“Waada” kro Meri Qabar pe aaya kro gy tum….

Aab Maan Bhi Lo K

Talaash-e-Waffa Sy Kiun 
Khudi Ko Aaziyaat Detay Ho,

Aab Maan Bhi Lo K, 
Duniya Mein Koi Apna Nai Hota......!!

Sunday, 18 August 2013

Baat thi mohabbat ki



Baat thi mohabbat ki,
Umar bhar ki chahat ki,
Bheer mein zamane ki
Sath sath chalna tha,

Imtehan bhi aane thay,
Zindagi ke sab hi pal
Sath hi bitane they.

Jane tum ne kia socha?
Sirf aik pal mein he,
Baat khatam kar dali.
Zindagi jo poori thi,
Wo adhori kar dali.

kon tumko samjhaye?
Chahton Ke Mausam bhi,
Roz to nahi aate !

Zindagi mein apnon ko
Chor to nahi jate !!

Teri har baat se mohabbat ki hai




"Teri har baat se mohabbat ki hai,

Tere ehsaas se mohabbat ki hai,
 Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai
Main tumko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,
 Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai, 
Jinme ho sirf teri or meri baatein,
Maine un baato se mohabbat ki hai,
 Or jo mehka ho sirf teri hi mohabbat se,
Maine un jazbaat se mohabbat ki hai,
 Tujhse milna to ab khawaab sa lagta hai,
Maine tere intezaar se mohabbat ki hai,
 Maine teri har ada se har jaza se mohabbat ki hai,
Maine sirf or sirf tumse mohabbat ki hai...!!!

Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho

Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho
Jo Khwaab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Koi Bhi Ho..Kahi Bhi Ho.. Bas Aisa Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon Mein Usse To
Muskrake Manaye, Woh Aisa Ho
Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhi Sake
Iradon Mein Woh Apne, Chattanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho
Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale…!!! Bus Humsafar Mera Aisa Ho